Wednesday 1 July 2015

Phir ek baar

Uske piche chalne wale
bheer me ek shaks..main bhi tha ..
Girta sambhalta ghabrata ..
Phir muskurate hue chalta tha ..
Kabhi raste bhatak jate ..
kabhi bheer me hum kho jate ..
Phir uska saya raah dikhata tha ..
Auur phir muskurate hue main chalta tha ..
Na dar tha use khone ka..
Na waqt tha tanhayi me rone ka ..
Bas ummeed thi sath rehne ka..
Auur sapna tha use phir pane ka ..
Phir ek bhayanak Aandhi ayi ..
Bheer me log khub ghabraye ..
Uske chehre me bhi chaya dar ka saya ..
Par main muskurake uske pas chala aya ..
Har raat ke bad din ata hai ..
Har andhere ke bad ujala ..
Ujale me the bas hum do khade ..
Auur maine use tha sambhala ..
Lipat gayi humse bacchi meri ..
Jaise bachpan me lipta karti thi ..
Jab 'Maa' thi uski ek saheli ..
Auur main ek lauta dost tha ..
Auur aj doston ka bheer jab sath na nibhaya ..
Usne phir ek bar mujhe apne sath paya ..

No comments:

Post a Comment