Wednesday, 1 July 2015

The Captain

Mahanagron ke chamak se door ..
Ek sheher me chhupi ye ek kahaani hai ..
Sapno ke paharon me chadhne ka jasba ..
Aur junoon ki ye kahaani thodi purani hai ..
Na dar na ghabrahat thi usme ..
Bas thi jeetne ki bharpoor umang ..
Mehnat auur lagan se aage badhte huye ..
Usne apne sapno me bhara rang ..
Na apne lakshya se kabhi bhatka ..
Na kaam ke bojh se wo jhuka ..
Kartavya ke raah pe chalta raha ..
Na kabhi thaka, na kabhi ruka ..
Samundar ki lehre use khub satate ..
Kabhi paeron tale reth pighal jate ..
Magar lehron ki bahon me khelta tha wo nidar ..
Haske har jang larta tha,'Bhavishya ka leader' ..
Logon ne use sir pe bithaya ..
Jab desh ka sir uncha kiya uski jeet ne ..
Auur lakhon gharo me rounak laya ..
Is jeet ke chirag ne ..
Lakhon logon ko sapne dekhna sikhaya wo ..
Jo na kabhi harta, na ghabrata, na darta hai ..
Ab yuvaon ke aankhon me kahin na kahin ..
Ek Dhoni banne ka sapna basta hai ..

No comments:

Post a Comment